Ajab teri hai aey mehboob soorat
Nazar se gir gaye sab khoob soorat
Mujhy ik baat kehny do, mujhy tum se mohabbat hai
Mujhy ik baat kehny do, mujhy tum se mohabbat hai
Hamseha sath rehny do, mujhy tum se mohabbat hai
Kon si baat hai tum mein aisi
Kon si baat hai tum mein aisi
Itnay achay kyun lagtay ho
Adawatun sy kinara kar lo,
Suno,
Adawatun sy kinara kar lo,
khushi ko apna sahara kar lo,
jahan mily thy ham donu,
jahan khawab boye thy،
jahan sy had guzarte the
mre tumhare mohabbat ki
usse maqam say aik bar pher Ajab teri hai
wohi safar dobara karlo
suno
Mohabbat ka ishara kar lo
Ye dilbari ye andaz ye naaz ye jamal
Ye dilbari ye andaz ye naaz ye jamal
Insan kare agar na teri chah kya kare
Ae sanam jis ney tujhe chaand si soorat di hai
Ae sanam jis ney tujhe chaand si soorat di hai
Isi allah ney mujh ko bhi mohabbat di hai
Ik haqeqat sahi firdos main horon ka wajod
Ik haqeqat sahi firdos main horon ka wajod
Husn-e insaan se nimat lon to wahan tak dekhun
Mohabbat mein dagha dun ga, kabhi tum sochna mat yeh
Mohabbat mein dagha dun ga, kabhi tum sochna mat yeh
Tumhen ik dِn bُhla dun ga, kabhi tum sochna mat yeh Ajab teri hai
Meri jitni mohabbat hai, sabhi teri amanat hai
Mein chahat yeh ghata dun ga, kabhi tum sochna mat yeh
Mohabbat se tumhen mil ke, kisi mourat ko mein dil ke
Mandir mein saja dun ga, kabhi tum sochna mat yeh
Nahi yeh waqt guzari hai, umar yeh waqf saari hai
Teri qadren gira dun ga, kabhi tum sochna mat yeh Ajab teri hai
Tairay sadqy utaroon ga, dil o jaan tujh pay vaaru ga
Koi anay bulaa dun ga, kabhi tum sochna mat yeh