Bachon Ki Tarah Chahy Mujhe Daant Le Koi
Lekin Sharat Ye Hai Ke Mere Gham Baant Le Koi
Shab Ke Sanate Mein Ye Kis Ka Laho Gata Hai
Shab Ke Sanate Mein Ye Kis Ka Laho Gata Hai
Sarhad Dard Se Ye Kis Ki Sada Aati Hai
Main Abhi Tafl-e Maktab Hun Mujh Ko Samjhaya Jaye
Main Abhi Tafl-e Maktab Hun Mujh Ko Samjhaya Jaye
Dil Mar Sa Gaya Hai, Dafnaya Jaye Ke Jalaya Jaye
Aey Dil Be Qarar Chup Ho Ja
Aey Dil Be Qarar Chup Ho Ja
Ja Chuki Hai Bahar Chup Ho Ja
Judaion Ke Zakhm Dard-E Zindagi Ne Bhar Diye
Judaion Ke Zakhm Dard-E Zindagi Ne Bhar Diye Bachon Ki Tarah
Tujhe Bhi Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar A Gaya
Kahan Mile Gi Misal Meri Satam Giri Ki
Kahan Mile Gi Misal Meri Satam Giri Ki
Keh Mein Gulabon Ke Zakhm Kanton Say See Raha Hun
Sabhi Rishte Gulabon Ki Tarah Khushbu Nahi Dete
Sabhi Rishte Gulabon Ki Tarah Khushbu Nahi Dete
Kuch Aese Bhi Tu Hote Hai Jo Kante Chor Jate Hai Bachon Ki Tarah
Hazar Dard Ke Rango Se Aashna Thi Nazar
Hazar Dard Ke Rango Se Aashna Thi Nazar
Phir ik Khawab e Siyyah Kha Gaya Meri Aankhein Bachon Ki Tarah