Ban Gayi Hai Dil K Majbori Mulakatain

Ban Gayi Hai Dil K Majbori Mulakatain
Ho Gayi Hai Ab Tu Zrori Mulakatain
Aankhon Se Kuch Keh K Bichar Jana
Jan Le Lain Gi Ye Adhoori Mulakatain

Khushi Ghami Mein Jinhain Sada Di

Khushi Ghami Mein Jinhain Sada Di
Yaad Mein Jin Ki Dunya Hi Bhula Di
Ab Roote Raho Gey Tum Sada Aamir
Aaj Unhon Ne Hi Bad-Dua Di

Wo Khawabon Ki Tarah Sacha Bohat Tha

Wo Khawabon Ki Tarah Sacha Bohat Tha
Ye Dhoka Tha Magar Acha Bohat Tha
Wo Mera Hai Ghalat Fahmi Thi Mujh Ko
Magar Sach Hai Main Us Ka Bohat Tha

Wo Je Gheet Tum Ne Suna Nahi

Wo Je Gheet Tum Ne Suna Nahi
Meri Umar Bhar Ka Riaz Tha
Mere Dard Ki Thi Dastan
Jisay Tum Hansi Mein Ura Gaye Ban Gayi Hai

Kashti Bi Nahi Badli Darya Bi Nahi Badla

Kashti Bi Nahi Badli Darya Bi Nahi Badla
Aur Dobne Walon Ka Jazba Bi Nahi Badla Ban Gayi Hai
Hai Shoq-e Safr Aesa Ik Arse Se Yaro
Manzal Bi Nahi Pai Rasta Bi Nahi Badla

Bichar Gye To Phir Milne K Aas Kia Rakhen

Bichar Gye To Phir Milne K Aas Kia Rakhen
Murjaye Hoye Phol Khilne K Aas Kia Rakhen Ban Gayi Hai
Lgaye Hain Jo Khud Apne Hath Se Anjum
Un Zakhmon K Khilne Ki Aas Kia Rakhein

Wo Khushi Tha Umeed Tha Ik Ihsaas Tha

Wo Khushi Tha Umeed Tha Ik Ihsaas Tha
Ba’ad Mein Ye Guman Hoa Bas Pal Do Pal Ka Sath Tha
Rehta Hai Aaj Bi Intizaar Is Aankh Ko Kisi Apne Ka
Wo Ja Ka Aaj Bi Sath Hai Jo Kabi Hamary Pass Tha

Subah Sham Falasteen (Palestine) Mein Khon Behta Hai

Subah Sham Falasteen (Palestine) Mein Khon Behta Hai
Saya-E Marg Mein Kab Se Insan Rehta Hai
Band Karo Ye Baroodi Ghuna Gardi
Bad Ye Ab Tu Aik Zamana Kehta Hai

Leave a Comment