Khuda ke baad bartar, aap hi ki zaat hai aaqa
Mein kya likhon, nah likhnay ki, meri auqaat hai aaqa
Duroood aap par beju, to sab bigra sanwarta hai
Aap hi ki nisbat se banay har baat hai aaqa
Takhleeq jahan jo hai, yeh sab hai aap ki khatir
Aap ke naam ka sadqa, yeh kayenaat hai aaqa
Ho nazro karam aaqa, mein daikhon gunbad khizry
Mujh be-bas ke bas ki kahan yeh baat hai aaqa
Meri har saans mein shaamil, hai zikar e mustafa karna
Yahi tauseef mahshar mein, meri nijaat hai aaqa
Yahi hasrat hai haawi ki, shafaat mein rahon shaamil
Qubool aap farma len, jo meri naat hai aaqa
Ae khuda ab to mera tu hi bharam qaim rakh
Ae khuda ab to mera tu hi bharam qaim rakh
Meri aankhon ko nami di hai to num qaim rakh
Sar khameeda hai tree samnay aur yun hi rahay
Ijz barhta hi rahay, iss mein yeh kham qaim rakh
Ham Aese Ahle-Nazar Ko Sabot Haq Ke Liye
Ham Aese Ahle-Nazar Ko Sabot Haq Ke Liye
Agar Rasol Na Hote Tu Subah Kaafi Thi Khuda ke baad bartar
Haq ko haq kehnay se jo dartay nahi hain
Haq ko haq kehnay se jo dartay nahi hain
Woh mar bhi jayen agar to martay nahi hain
Kuch to baat hai haq ki karfrmayi mein Khuda ke baad
Be wajah yuhin sir katete nahi hain
Arz o sama ke maalik
Arz o sama ke maalik
Ufwo o ataa ke maalik
Tareef karoon kaisay
Hamd o sana ke maalik
Andaaz nirale sab
Behar o khalaa ke maalik
Mohtaaj yeh bande hum
Jod o sakha ke maalik
Day bakhash gunaaho ko
Adal o saza ke maalik
Mere kano ko dastak ki zaroorat nahi parti
Mere kano ko dastak ki zaroorat nahi parti Khuda ke baad bartar
Mujhy ishq uthata hai azaan se pehly Khuda ke baad
Koyi Zalim Koi Fasik Koi Badkaar Nahi Raha
Koyi Zalim Koi Fasik Koi Badkaar Nahi Raha
Zulfiqar Ke Maqabil Laskhar Kufar Nahi Raha
Ali Ki Bahaduri, Kya Lafzon Mein Ho Bayan
Nad-e-ali Ke Baad, Bab-e Khyber Nahi Raha
Mere Aaqa Ko Allah Naay, Kusar Se Nawaza Hai
Mehboob Kkhuda Ko Abtar Kehnay Wala Nahi Raha
Ab Bhi Aati Hai Mehak, Baad-e Karbalaa Se Hussain Ki
Hasnain Ke Dushmanon Ka, Koi Waris Nahi Raha
Take Aaya Jo Apni Jabeen, Kaabay Ki Chokhat Par
Kitna Bhi Ho Ghaafil, Gunehgaar Nahi Raha
Yun To Aeye Mehshar Mein Aik Se Aik Sikandar
Rutba Ghulam Ali Ke Barabar Nahi Raha
Doobi Hui Thi Duniya Jahalat Ki Zulmat Mein Khuda ke baad
Zahur-e Aaqa? Ke Baad Aalam Mein Andhera Nahi Raha
Allah Naay Hukum Diya Pooncha Dijiye Rasool
Baad Mun Kuntu Mawla Pegham Risalat Nahi Raha
Jab Se Dooba Hai Saahil, Mohammad Ke Samandar Mein
Dar Duniya Nahi Raha, Khof-e Hashar Nahi Raha