Laga kar aag shehr ko ye badshah ne kaha
Utha hai dil main tamashe ka aaj shoq bohat
Jhuka kar sar ko sabhi shah parast bol uthay
Huzoor ka shoq salamat rahy, shehr aur bohat
Zammana jab se jadeed ho gya hai
Zammana jab se jadeed ho gya hai
Dilon main gham bhi shadeed ho gya hai
Zamana bohat taraqi kar chuka hai lekin
Bhok ka dar bhi mazeed ho gya hai
Aik dafa mere qadam se qadam mila ka chalo
Aik dafa mere qadam se qadam mila ka chalo
Tum zara do ghari sath tu nibha ke chalo
Mana safar kathan aur rasta bohat dushwaar hai
Hath tham lo, mujh py yaqeen bna ke chalo
Na kar bandya meri meri
Na kar bandya meri meri
Na teri na meri
Char dina da mela
Dunya pher matti de dheri
Kal shab kisi ki yaad ki shiddat thi is qader
Kal shab kisi ki yaad ki shiddat thi is qader
Ke khanjar faraaq se dil chaak ho gaya
Ik waqt woh bhi aaya shab-e intezaar mein
Mein jaagta hi reh gaya aur chaand so gaya Laga kar aag
Dil mein sukoon ka nam-o-nishan khatam hua
Dil mein sukoon ka nam-o-nishan khatam hua
Yeh intezaar khtm hua tera sath khatam hua
Dard ka yeh silsila khatam hua Laga kar aag
Mein khatam hua tera naam khatam hua
Tuhfa duaon ka tumhain puhnchy mera
Tuhfa duaon ka tumhain puhnchy mera
Sada rahe tumhare gird khusion ka ghera
Musaraten tumhain eid ki mubarak hoon Laga kar aag
Tumhari zeesat main na aye kabi ghamon ka pheera