Ye Zabt Choot Gaya Tu Tumhari Yaad Ayi
Main Thak Ke Toot Gaya Tu Tumhari Yaad Ayi
Tumhare Baad Na Tha Koi Mera Dil Ke Siwa
Ye Dil Bi Roth Gaya Tu Tumhari Yaad Ayi
Na Tu Zamain Ke Liye Hai Na Aasman Ke Liye
Na Tu Zamain Ke Liye Hai Na Aasman Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye Tu Nahi Jahan Ke Liye
Nishan-e Rah Dikhate Thay Jo Sitaron Ko Ye Zabt Choot
Taras Gye Hain Kisi Mard-e Rah Dan Ke Liye
Tum Jab Aao Gi Khoya Hua Pao Gi Muje
Tum Jab Aao Gi Khoya Hua Pao Gi Muje
Meri Tanhai Mein Khwabon Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Mere Kamre Ko Sajane Ki Tmana Hai Tumhen
Mere Kamre Mein Kitabon Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Har Bar Tuj Se Milte Waqt
Har Bar Tuj Se Milte Waqt
Tuj Se Milne Ki Aarzo Ki Hai Ye Zabt Choot
Tere Jaane Ke Baad Bi Mein Ne
Teri Khushbu Se Guftagu Ki Hai
Raat Yun Dil Mein Teri Khoyi Hui Yaad Ayi
Raat Yun Dil Mein Teri Khoyi Hui Yaad Ayi
Jese Werane Mein Chupke Se Bahar Aa Jaye
Jese Sehraon Mein Hole Se Chalay Bad-e Naseem
Jese Beemar Ko Bewaja Qarar A Jaye
Us Ne Acha Hi Kya Hal Na Pocha Dil Ka
Us Ne Acha Hi Kya Hal Na Pocha Dil Ka
Bharak Uthta Tu Ye Shola Na Dbaya Jata Ye Zabt Choot
Ishq Sunte Thay Jise Ham Wo Yehi Hai Shayad
Khud Ba Khud Hai Dil Mein Ik Shakhs Smaya Jata